Thursday, October 21, 2010

Sapne Vs Zaroorat

Sapne ya Zaroorat - kya chaiye humein any idea???

Zaroori toh dono hi hain zindagi mein kyunki bina sapno ke hum jiii nahin sakte yeh life aur bina zaroorat k hamari bhuk nahin mithti... kya kare phir... socho socho...

Chalo chodo sochna ek ek karke dekhte hain kya kar sakte hum inn dono k saath...

Sapne - kehne ko hain jo hamare apne... dekhte hain har samay hum phir bhi nahin samjhte hum ki hamein kya chaiye...
spaney = khushi ... kahan gayi woh khushi agr humein sapney pure ho jaatein hain

problem yeh hain ki ek baar sapney puree ho gaye toh woh zaroorat mein badal jaate hain... bure ismein bhi kuch nahin hain par hamein sirf ek cheez ka dhyaan rakhna hain ki unn sapno ko +ve zaroorat hi bananaaa hain... yeh nahin ki hum bolo abb sapne pure toh ho rahe hain usse kuch galat kar daale..

kya milega yaar ek life hain jeelo muskralo sapne pure kar dalo aur apni zarrorato ko bhi naa kam hone do... par karo wohi jo tumhara mannn kaye... takii kal ko yeh naa ho ki tum socho ki yaar kaash maine yeh sapna naaa dekha hota.... spana tha toh kuch hi seconds ka... par uska outcome hamesha hi rehta hain...

toh sirf ek hi guzarish hain sapne dekho jispe tum kal ko khush ho sakoooo...  aur proud se kahooo yehhh maine jo socho wohi payaaa... aur ussi k saath mein khushh hun...

Agr sapne pure hogaye toh yeh meri gurantee hain ki zaroorate apne aap puri ho jayegi ... toh sochke dekho aaj se... hi ki kya sahi hain ya kya galat...

agr zaroorat hain kisiki kisike saath discuss karne ki mein hun tumhare saath hamesha... sirf ek awazz maarke dekho... wada hain apse aapko dusri baar sochna nahin padega ki "mujhe" kyunn bulaya...

No comments:

Post a Comment