Saturday, October 30, 2010

answer...

Abb mein hassu yaa rounn... kucch samaj nahin aata... aisa lagta hain ek hi pal mein sab kuchh mere haath se le liya gaya... woh kehti hain.. ki nahin yeh possible hain mein kehta hunnn... meri nazroo se dekhkar dekh sab kuch possible hain.... mein uski har baaat ko respect karta hun... par yeh bhi hain ki mein usse khona nahin chahta... kehna ko hain ajeeb par abb agr GOD ne yehi socha hain toh mein kya kar sakta hunn...

mujhe pata hain time ki maarr hainn yeh aur kucchh nahin... par mein sirf usse yehi kehta hunn ki time hamesha ek jaisa nahin rehtaaa... phele bura time tha... aur abb jab wohhh accha aane ki koshish kar raha hain tohh humm uss time pe shakk karte hain... yaar yeh toh galat hain naa... hummm ek hi second mein soch lete hain ki zindagi aisi kyun hain yaa mein sahi nahin hunn uss k liye...

sirf ekk baat poochna chahta hunn ekk second k liye sab bhul jayeee kisse k baare mein naa sochee aur sochke dekhe ki uskooo sahi mein chaiyee kyaaa... iss zindagi see... ki kya importance hain meri uskii zindagii mein,.. par yeh wayda bhi hain usse agr abbb woh sahi mein mujhe bol degi kiii nahin aisa nahin ho saktaa jaise mein soch raha hun mein sahii mein uskke rastee mein nahi aaungaaa par sirf ekkk cheez kya yeh sahii hain kiii woh logo aur society k baare mein soch ke yeh bole ki yeh nahin hoo saktaa....

aiseee zindagi nahin chaltii.. har jagah har rozz kitne hiii kamine log milte hain... par hamein sirf wohii karna chaiye jo hummm chahte hainnn.... toh meri sirfff usse yehiii requst hain kiii dil se soche ki usse chaiyee kyaa...
kyunki mera iradhaa pakka hainnn... aur kasam mein mujhe kiii mein usse kabhi akela nahin hone dungaaa... kissi bhi time nahiiinnn ekk seconddd k liye bhii nahin...

Ae khuda agr tuu hain aur sunn raha hain maine tujse kabhi kucch nahin mangaa puri zindagi... paarrr aaj mein apni zindagii mang rahaa hun tujse manna mat kariyooo... warna mein sahii mein tuthhh jaungaa....

Check the link please the meaning of whole this blog is in this video:
http://www.youtube.com/watch?v=oCKaYcdufwU&feature=related

Saturday, October 23, 2010

Zindagii...

Pheli baar socha maine iss zindagi mein kissi k baare mein par abb mujhe hi nahin pata kya hoga uss ek mere pyaare ko... mein yeh toh nahin janta ki bhagwaan ne mujhe kyun chuna usske liye par kya yehi meri sajah hain ki agr mein uske hi hisab se chala hun...

woh kehti hain maine aisa kyun likha... mein kehta hun agr aise naa likhun toh kya karun... mein nahin batana chata sabko jab tak woh ek banda haan naa kehde... par maine batay bhi unnn sabhi ko jo mere itne karibb hain ki jinse mein kuch nahin chupta..

usne yeh toh ehsaas kar liya ki mein bhi fake hun... par kya usne ek baar bhi yeh samjhne ki koshish ki ki mein fake nahin hun.. maine toh usse apne dost se bhi baat karne k liye kaha.. par mujhe pata hain woh kabhi nahin manegiii... abb mein kya karuunnn...

woh kehti hain usne puri duniyaa dekhi hain.. mein kehta hunn uss duniya mein ek ajeeb banda bhi hain jo uske liye kabhi bhi kuch bhi karne ko tayar hain... par mujhe pata hain abb woh mujpe kabhi believe nahin karegi..

par mein phir bhi kehta hun mein abhi bhi wohi hun jo phele tha sirf nazar badalne ki der hain ... kucch hi paloo mein aap kaise mujhe judge kar sakte ho... mein sirf wohi banda hun jisse aap pheli baar mile the...

phir bhi mein yehi chaunga ki agr aap meri wajah se aisa sochne pe majboor hue ho... toh mein apke raste mein phir naa aunga... par please mujhe maaf kardo.. isliye nahin ki apke mann mein ye khyaal aaya hain ki mein bhi galat hunnn... par isliye kyunki apne ek dam se hi faisla kar liya ki mein apke layak nahin hun....

bas mein sirf yehi kehna chahta hun.... ki mein apke raste mein kabhi nahin aaunga... pakka.... aur GOD se sirf yehi duaa karunga.. ki aap jahan bhi ho.. jiske saath bhi ho... aap khush rahooo...

Thursday, October 21, 2010

Sapne Vs Zaroorat

Sapne ya Zaroorat - kya chaiye humein any idea???

Zaroori toh dono hi hain zindagi mein kyunki bina sapno ke hum jiii nahin sakte yeh life aur bina zaroorat k hamari bhuk nahin mithti... kya kare phir... socho socho...

Chalo chodo sochna ek ek karke dekhte hain kya kar sakte hum inn dono k saath...

Sapne - kehne ko hain jo hamare apne... dekhte hain har samay hum phir bhi nahin samjhte hum ki hamein kya chaiye...
spaney = khushi ... kahan gayi woh khushi agr humein sapney pure ho jaatein hain

problem yeh hain ki ek baar sapney puree ho gaye toh woh zaroorat mein badal jaate hain... bure ismein bhi kuch nahin hain par hamein sirf ek cheez ka dhyaan rakhna hain ki unn sapno ko +ve zaroorat hi bananaaa hain... yeh nahin ki hum bolo abb sapne pure toh ho rahe hain usse kuch galat kar daale..

kya milega yaar ek life hain jeelo muskralo sapne pure kar dalo aur apni zarrorato ko bhi naa kam hone do... par karo wohi jo tumhara mannn kaye... takii kal ko yeh naa ho ki tum socho ki yaar kaash maine yeh sapna naaa dekha hota.... spana tha toh kuch hi seconds ka... par uska outcome hamesha hi rehta hain...

toh sirf ek hi guzarish hain sapne dekho jispe tum kal ko khush ho sakoooo...  aur proud se kahooo yehhh maine jo socho wohi payaaa... aur ussi k saath mein khushh hun...

Agr sapne pure hogaye toh yeh meri gurantee hain ki zaroorate apne aap puri ho jayegi ... toh sochke dekho aaj se... hi ki kya sahi hain ya kya galat...

agr zaroorat hain kisiki kisike saath discuss karne ki mein hun tumhare saath hamesha... sirf ek awazz maarke dekho... wada hain apse aapko dusri baar sochna nahin padega ki "mujhe" kyunn bulaya...

Tuesday, October 19, 2010

shayari

(1)


Khwaishon ki Udaan hoti hain bahut nirali,
Dikhlati hain Sapne baar baar yeh zindagi ki kahani...

Dil bolta hain chala chal yuhin,
Dekhte reh khwab tu yuhin,

Phir se ek aur maud aayega,
Zindagi yuhin samatte jayega,

Phir uggega suraj ek nahin roshni ke saath,
Kya pata phir se dikhlayega spane anekk mere yaar...




(2)



Rehna hain.. Rehne do.. Jaise mein Hunn
Phir Chaiye mein Akela hi kyun nahin..


Socha tha jiyenge aise..
Par kya pata dil khil uthega aise..


Na Jaane woh kaunsa pagam ayega..
Jo sab kucch apne saath le jayega..


Phir chaiye honthon pe hasi.. ya dil mein pyaar..
kucch nahin hota yehi hain zindagi mere yaar..

Monday, October 11, 2010

Khushi

Khushi - The real Happyness

Aaj mein Khush hun isliye nahin kyunki kuch accha hua hain meri zindagi mein par mein khush isliye hun kyunki aaj woh ek banda khush hain - shayad meri hi wajah se par agr GOD hain toh mein hamesha yehi dua karunga ki tujhe iss ek bande ko saari zindagi itni khusiya deni hain ki tune kabhi kissi ko na di ho...

haan agr tujhe exchange offer karna hain toh meri khushiya le le yaar - par iss ek bande ko itni khushiyan de ki isse kabhi bhi yeh ehsaas na hoo ki gam kya hota hain...

jo ho chuka hain iski life mein, mein usse toh nahin badal sakta - par - bahut hi zaroori hain ki iski aane wali zindagi mein chaiye mein gatekeeper ka hi role ho mera  par mein isse hamesha khush rak sakoo

kya hain yaar yeh zindagi ek hi cheez mang raha hun - aur sahi mein mujhe woh chezez chaiye mere iss khas bande ke liye - kissi bhi kimat pe....

shayad tune sunna shuru kar diya hoga - par zaroori hain ki tu yeh meri ek lauti wish zaroor puri kareh..... taaki jab bhi chaiye ek hi pal ke liye kyun nahin agr iss bande ne mujhe yaad kar liya apni puri zindagi mein, mein samjhunga ki mujse luckiest banda nahin hain iss puri duniya mein....

toh ae khudha agr tu hainn toh aaj se hi lagg ja iss kaam mein..... :)

Wednesday, October 6, 2010

ek aur pal iss zindagi ka...lolll

Emotions - mein pichle do ghante se soch nahin pa raha hun ki mere dil mein kya hain .... mein physically toh yahan hun par phir bhi yahan nahun hun ---- aisa kyun hota hain ki mein naa chate hue uss ek bande ke itne karib ho gaya ki mujhe iss baat ka bhi ehsaas na ho saka....

mein samaj nahin pa raha hun ki mein kya karun --- bas akele duniya ke ek kone mein baithe hue sirf yeh soch raha hun ki apne emotions ko kaise control kar saku... mein thak gaya hun yaar iss life se...

maine manga kya hain thoda sa peace aur thodi si khushi woh bhi apne liye nahin apno ke liye.... aye khuda agr tu sahi mein toh madad kar mujhe iss dard se nikalne ki.... maine koi bura kaam nahin kiya aajtak par uski sajah aise toh naa de. ki mein puri tarah se tuthh jaun... aur kal ko tang aake kuch kar baithu

ek saal se uppar ho gaya mujhe apne liye ek parona dhundte hue -- par kya hua har baar girke apne aap ko bawkuf banata hun ki abb kuch accha hoga -- kya accha hoga yaar.... tang aa gaya hun mein innn sabse.....

agr yehi sab experiment karne the toh aur kisi ko hi yeh zindagi de deta.... maine toh sirf tujse 2 gazz khushi mangi thi aur tuuu woh bhi naa de saka....

har roz ekk naya sawal - phele wale solve hote nahin aur har baar ek aur......... bas kar bas kar apne bando ko itna mat satttttaaa kyunki agr tere iss bande ka dimag kharab ho gaya toh sahi mein yeh kuch kar baithega.......

koshish karta hun jeene ki par agr tu woh bhi naaa manne toh mein kya karun...... baksh de mujhe --- mere purane paapo ki sajah abb mat de.... duniya bhr mein hum insaniyat ka patt padate hain par abb tujhe kiss cheez ka patth padaun ki jisse tujhe samaj aajaye ki abb tere iss bande ki dukh sahne ki vaaladity khatam ho gayai hain aur agr jaldi kuch naaa kara gaya yeh expire ho jayega....

tunne insaan banake sahi mere liye bahut galat faisla liya isse accha toh tha tu mujhe ..................
please daya kar........ mein sahi mein abb aur nahin seh sakta --- har second sirf yeh sochna ki aaj ka din kaisa hoga...... maaf kar mein nahin sochna chahta abbb...

mein sahi mein keh raha hun agr mere mann uth gaya tujse toh kasam hain mujhe mein teri chaukat pe saari zindagi nahin aaunga... bas kar abb mujhe yeh sajaa dena... please... tujhe jis language mein samaj aata hain usmein samajle... tere iss bacche ko abb azadi chaiye har cheez se free rehne ki azaadi........

Tuesday, October 5, 2010

kyun???

Sochte hunn ki aaj humari life mein kuch accha hoga - par kya woh accha itna zaroori hain ki hamein usske liye kisike saath conditional hona pade.... yaar kaisi life hain yeh --- kab samjhege hum yeh asli sach nahin hain...


khushi kya hain ---- ek pyaari si smile kissi aise bande se milna jiske baare mein hum sochte rehte hain aur woh haamre samne ussi second aa jaata hain......

yaar mein toh ek normal simple sa banda hun -- but pata nahin kyun yeh simplicity bhi naam ki hi reh jaati hain kyunki hum saara din hum uske baare mein sochte hain kisse hum bahut pyaar karte hain - itna pyaar ki hamare paas words nahin hote uske baare mein bolne ke liye...

dusro ke samne toh hum fake chera bana lete hain ki hum itne khush hain ki bhagwan hi malik jitne hum kabhi nahin hue - bt kya fayda uss dikhawe ki life ka ---- abb toh jeena do yaar uss tarah jaise tum jeena chahte ho... uske ek bande ke saath jeena chahte ho.....

kahaniya toh banti hi isliye hain ki kal ko koi usse kuch seekk sake -- par tabhi fayda hain agr sahi mein koi seekhe.... sahi mein reality ko face karne ka dil ho...


hum sab even mein khud bhi bhagwan pe believe karta hun ---- but aise beleive ka kya matlab agr woh har din ek nayi cheez apke samne rakh de... aur aap saara din sirf yehi sochte raho ki abbb kab aayega woh time????/ kab --------------

chala tha akele raho ki taalash mein socha na tha ki rasta aisa hoga --- par kya hua agr rasta aisa hain toh zyada U-turn hain zyada problem hain par phir bhi issi ka toh naam zindagi hain.... chalte chalo mere yaaro sambhal ke apne kadam ---- kya pata shayad agle hi modd pe tumhari mulaqat ho jaye ek sunhari subeh se...

sochte the zindagi ko jeetenge - par kya hua agr usmein kuch kammi aa gayi toh... abb khana bhi banate ho toh kuch na kuch toh bhul hi jaate ho ---- abb perfect toh nahin mil sakti na har cheez.... par karo koshish usse perfect banannne ki....


kyun ka safar aisa hi hain jaise har cheez mein bina soche koi problem aa jaye --- par kya farq padta hain agr hum janke bhi uss problem ko durr na kar sake.......

kyun???????? aagey abb aap sabki baari sochne ki...

Friday, October 1, 2010

My coming back message

Best thing in life is to serve HUMANITY - one life so live for all instead of living for your own profit.. Try to think different and you will get to know the life is very much beautiful thn what we think.... A gift we got so live it and let everyone live it in their own spirits....


Sorry i was away for some work - but me back again with the same feelings same words and yes same me - yours and yours only - Karan