Tuesday, October 5, 2010

kyun???

Sochte hunn ki aaj humari life mein kuch accha hoga - par kya woh accha itna zaroori hain ki hamein usske liye kisike saath conditional hona pade.... yaar kaisi life hain yeh --- kab samjhege hum yeh asli sach nahin hain...


khushi kya hain ---- ek pyaari si smile kissi aise bande se milna jiske baare mein hum sochte rehte hain aur woh haamre samne ussi second aa jaata hain......

yaar mein toh ek normal simple sa banda hun -- but pata nahin kyun yeh simplicity bhi naam ki hi reh jaati hain kyunki hum saara din hum uske baare mein sochte hain kisse hum bahut pyaar karte hain - itna pyaar ki hamare paas words nahin hote uske baare mein bolne ke liye...

dusro ke samne toh hum fake chera bana lete hain ki hum itne khush hain ki bhagwan hi malik jitne hum kabhi nahin hue - bt kya fayda uss dikhawe ki life ka ---- abb toh jeena do yaar uss tarah jaise tum jeena chahte ho... uske ek bande ke saath jeena chahte ho.....

kahaniya toh banti hi isliye hain ki kal ko koi usse kuch seekk sake -- par tabhi fayda hain agr sahi mein koi seekhe.... sahi mein reality ko face karne ka dil ho...


hum sab even mein khud bhi bhagwan pe believe karta hun ---- but aise beleive ka kya matlab agr woh har din ek nayi cheez apke samne rakh de... aur aap saara din sirf yehi sochte raho ki abbb kab aayega woh time????/ kab --------------

chala tha akele raho ki taalash mein socha na tha ki rasta aisa hoga --- par kya hua agr rasta aisa hain toh zyada U-turn hain zyada problem hain par phir bhi issi ka toh naam zindagi hain.... chalte chalo mere yaaro sambhal ke apne kadam ---- kya pata shayad agle hi modd pe tumhari mulaqat ho jaye ek sunhari subeh se...

sochte the zindagi ko jeetenge - par kya hua agr usmein kuch kammi aa gayi toh... abb khana bhi banate ho toh kuch na kuch toh bhul hi jaate ho ---- abb perfect toh nahin mil sakti na har cheez.... par karo koshish usse perfect banannne ki....


kyun ka safar aisa hi hain jaise har cheez mein bina soche koi problem aa jaye --- par kya farq padta hain agr hum janke bhi uss problem ko durr na kar sake.......

kyun???????? aagey abb aap sabki baari sochne ki...

No comments:

Post a Comment