Wednesday, October 6, 2010

ek aur pal iss zindagi ka...lolll

Emotions - mein pichle do ghante se soch nahin pa raha hun ki mere dil mein kya hain .... mein physically toh yahan hun par phir bhi yahan nahun hun ---- aisa kyun hota hain ki mein naa chate hue uss ek bande ke itne karib ho gaya ki mujhe iss baat ka bhi ehsaas na ho saka....

mein samaj nahin pa raha hun ki mein kya karun --- bas akele duniya ke ek kone mein baithe hue sirf yeh soch raha hun ki apne emotions ko kaise control kar saku... mein thak gaya hun yaar iss life se...

maine manga kya hain thoda sa peace aur thodi si khushi woh bhi apne liye nahin apno ke liye.... aye khuda agr tu sahi mein toh madad kar mujhe iss dard se nikalne ki.... maine koi bura kaam nahin kiya aajtak par uski sajah aise toh naa de. ki mein puri tarah se tuthh jaun... aur kal ko tang aake kuch kar baithu

ek saal se uppar ho gaya mujhe apne liye ek parona dhundte hue -- par kya hua har baar girke apne aap ko bawkuf banata hun ki abb kuch accha hoga -- kya accha hoga yaar.... tang aa gaya hun mein innn sabse.....

agr yehi sab experiment karne the toh aur kisi ko hi yeh zindagi de deta.... maine toh sirf tujse 2 gazz khushi mangi thi aur tuuu woh bhi naa de saka....

har roz ekk naya sawal - phele wale solve hote nahin aur har baar ek aur......... bas kar bas kar apne bando ko itna mat satttttaaa kyunki agr tere iss bande ka dimag kharab ho gaya toh sahi mein yeh kuch kar baithega.......

koshish karta hun jeene ki par agr tu woh bhi naaa manne toh mein kya karun...... baksh de mujhe --- mere purane paapo ki sajah abb mat de.... duniya bhr mein hum insaniyat ka patt padate hain par abb tujhe kiss cheez ka patth padaun ki jisse tujhe samaj aajaye ki abb tere iss bande ki dukh sahne ki vaaladity khatam ho gayai hain aur agr jaldi kuch naaa kara gaya yeh expire ho jayega....

tunne insaan banake sahi mere liye bahut galat faisla liya isse accha toh tha tu mujhe ..................
please daya kar........ mein sahi mein abb aur nahin seh sakta --- har second sirf yeh sochna ki aaj ka din kaisa hoga...... maaf kar mein nahin sochna chahta abbb...

mein sahi mein keh raha hun agr mere mann uth gaya tujse toh kasam hain mujhe mein teri chaukat pe saari zindagi nahin aaunga... bas kar abb mujhe yeh sajaa dena... please... tujhe jis language mein samaj aata hain usmein samajle... tere iss bacche ko abb azadi chaiye har cheez se free rehne ki azaadi........

No comments:

Post a Comment